|
Chupke Chupke Raat Din is a popular ghazal written by Maulana Hasrat Mohani.〔http://www.urdupoetry.com/hasrat01.html〕 The music composition is based on Raga Kaafi. It is a classical Urdu poem that represents the culture of India during Mughal Dynasty. The poem became famous after it was sung by Ghulam Ali in the film ''Nikaah'' (1982).〔http://articles.timesofindia.indiatimes.com/2011-01-28/ranchi/28358526_1_ghulam-ali-song-crackers〕〔(Nikah: Soundtrack ) IMDB.〕 ==Ghazal Lyrics== ''Chupke chupke raat din, aansu bahanaa yaad hai'' ''Hum ko ab tak aashiqui ka, vo zamaanaa yaad hai'' '' ''Tujhase milate hi vo kuch Bebaak ho jaanaa meraa'' ''Aur teraa daaton mein vo Ungalii dabaanaa yaad hai'' ''Chori Chori ham se tum aa kar mile the jis Jagah'' ''Muddatein Guzarin par ab tak wo Thikaanaa yaad hai'' ''Khench lenaa vo meraa parde kaa konaa daffaatan'' ''Aur Dupatte se teraa, vo Moonh Chhupaanaa yaad hai'' ''Do-pahar ki dhoop mein, mere bulaane ke liye'' ''Vo teraa kothe pe nange paaon aanaa yaad hai'' ''Baahazaaraan iztiraab-o-sadd-hazaaraan ishtiyaaq'' ''Tujh se vo pehale pehal dil kaa lagaanaa yaad hai'' ''Jaan kar sotaa tujhe vo qasa-e-paabosii meraa'' ''Aur teraa Thukaraa ke sar vo muskuraanaa yaad hai'' ''Tujh ko jab tanhaa kabhii paanaa to az_raahe-lihaaz'' ''Hal-e-dil baatoon hii baatoon mein jataanaa yaad hai'' ''Jab sivaa mere tumhaaraa koii diivaanaa na thaa'' ''Sach kaho kyaa tum ko bhii vo kaarKhaanaa yaad hai'' ''Gair kii nazaroon se bachakar sab kii marzii ke Khilaaf'' ''Vo teraa chorii chhipe raatoon ko aanaa yaad hai'' ''Aa gaya gar vasl ki shab bhii kahiin zikr-e-firaaq'' ''Vo teraa ro ro ke bhi mujhko rulaanaa yaad hai'' ''Dekhanaa mujhako jo bargashtaa to sau sau naaz se'' ''Jab manaa lenaa to phir Khud ruuTh jaanaa yaad hai'' ''Berukhii ke Saath sunna Dard-e-Dil kii dastaan'' ''Vo, Kalai mein tera, kangan ghumaanaa yaad hai'' ''Vaqt-e-Rukhsat Alvidaa kaa Lafz Kehene ke liye'' ''Vo, Tere Sukhe Labon kaa, thar-tharaanaa yaad hai'' ''Baavajuud-e-iddaa-e-ittaqaa 'Hasrat' mujhe'' ''Aaj tak ahad-e-havas kaa ye fasaanaa yaad hai'' Bold text 抄文引用元・出典: フリー百科事典『 ウィキペディア(Wikipedia)』 ■ウィキペディアで「Chupke Chupke Raat Din」の詳細全文を読む スポンサード リンク
|